Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sher kahne ki tabiat na rahi

Abdul Salam Bengluri

sher kahne ki tabiat na rahi

Abdul Salam Bengluri

MORE BYAbdul Salam Bengluri

    sher kahne tabī.at na rahī

    jis se aamad thī vo sūrat na rahī

    us dahlīz se uTh jā.ūñ magar

    log socheñge mohabbat na rahī

    ab milā adl, gayā daur-e-shabāb

    munsifī terī bhī vaq.at na rahī

    vaqt dauḌ meñ ruknā thā kaThin

    saañs lene bhī fursat na rahī

    vaqt-e-dīdār ajab hukm huā

    hosh khone ijāzat na rahī

    tum se jazbāt the jab tum nahīñ

    phir zamāne se shikāyat na rahī

    maiñ nikal aa.uuñ bayābāñ se agar

    shohra ho jā.egā vahshat na rahī

    bhiiḌ meñ DhūñDeñ kahāñ qais ko ab

    vo jo pahchān thī vahshat na rahī

    daur-e-rafta ke namūne ho 'salām'

    ab takalluf zarūrat na rahī

    sher kahne ki tabiat na rahi

    jis se aamad thi wo surat na rahi

    us ki dahliz se uTh jaun magar

    log sochenge mohabbat na rahi

    ab mila adl, gaya daur-e-shabab

    munsifi teri bhi waqat na rahi

    waqt ki dauD mein rukna tha kaThin

    sans lene ki bhi fursat na rahi

    waqt-e-didar ajab hukm hua

    hosh khone ki ijazat na rahi

    tum se jazbaat the jab tum hi nahin

    phir zamane se shikayat na rahi

    main nikal aaun bayaban se agar

    shohra ho jaega wahshat na rahi

    bhiD mein DhunDen kahan qais ko ab

    wo jo pahchan thi wahshat na rahi

    daur-e-rafta ke namune ho 'salam'

    ab takalluf ki zarurat na rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now