Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna

Aagha Akbarabadi

shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna

Aagha Akbarabadi

MORE BYAagha Akbarabadi

    shiddat-e-zāt ne ye haal banāyā apnā

    jism-e-majnūñ meñ huā tañg shalokā apnā

    yaar bantā nahīñ vo nuur putlā apnā

    ḳhaak meñ mil gayā tasḳhīr da.avā apnā

    mai-kashoñ meñ na koī mujh namāzī hogā

    dar-e-mai-ḳhāna pe bichhtā hai musallā apnā

    vasl raat bahut tuul huā āḳhir-kār

    muḳhtasar ye hai ki faisal huā qissa apnā

    gul khilā kar abhī bulbul ko jalā.ūñ kyā kyā

    vo ināyat kareñ gar por chhallā apnā

    rabbī-arenī sadā ho bhī to but bol uTheñ

    aap dikhlā.eñ agar dair meñ jalva apnā

    ā.īna-ḳhāna meñ chal baiThiye do-chār ghaḌī

    dekhnā hove jo manzūr tamāshā apnā

    jīte-jī ḳhvesh-o-aqārib the pas-e-marg afsos

    ḳhaak meñ daab diyā koī na samjhā apnā

    kisī sayyād paḌ jaa.e na chiḌiyā pe nazar

    aap sarkā.eñ na mahram se dupaTTā apnā

    aap sau baar ukhaḌ jaa.eñ nahīñ kuchh parvā

    jam gayā ek parī-zād se naqsha apnā

    dām-e-mahram meñ phañsāyā hai ḳhudā ḳhair kare

    āshiyāna na banā baiThe ye chiḌiyā apnā

    garm-ḳhvābī ne tirī zab.h kiyā ai qātil

    ek dam bhī na kalejā huā ThanDā apnā

    riñd-mashrab haiñ kisī se hameñ kuchh kaam nahīñ

    dair apnā hai na ka.aba na kalīsā apnā

    hai vahī sar vahī saudā vahī josh-e-vahshat

    vasl tabdīl huī rañg na badlā apnā

    un zulfoñ ko ye da.avā hai ki ham kaale haiñ

    ham ne bachte nahīñ dekhā kabhī maarā apnā

    ġhair se rakhiye na imdād ummīd 'āġhā'

    kaam aatā hai mirī jaan bharosā apnā

    shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna

    jism-e-majnun mein hua tang shaloka apna

    yar banta nahin wo nur ka putla apna

    KHak mein mil gaya tasKHir ka dawa apna

    mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga

    dar-e-mai-KHana pe bichhta hai musalla apna

    wasl ki raat bahut tul hua aaKHir-kar

    muKHtasar ye hai ki faisal hua qissa apna

    gul khila kar abhi bulbul ko jalaun kya kya

    wo inayat karen gar por ka chhalla apna

    rabbi-areni ki sada ho bhi to but bol uThen

    aap dikhlaen agar dair mein jalwa apna

    aaina-KHana mein chal baiThiye do-chaar ghaDi

    dekhna howe jo manzur tamasha apna

    jite-ji KHwesh-o-aqarib the pas-e-marg afsos

    KHak mein dab diya koi na samjha apna

    kisi sayyaad ki paD jae na chiDiya pe nazar

    aap sarkaen na mahram se dupaTTa apna

    aap sau bar ukhaD jaen nahin kuchh parwa

    jam gaya ek pari-zad se naqsha apna

    dam-e-mahram mein phansaya hai KHuda KHair kare

    aashiyana na bana baiThe ye chiDiya apna

    garm-KHwabi ne teri zabh kiya ai qatil

    ek dam bhi na kaleja hua ThanDa apna

    rind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin

    dair apna hai na kaba na kalisa apna

    hai wahi sar wahi sauda wahi josh-e-wahshat

    wasl tabdil hui rang na badla apna

    un ki zulfon ko ye dawa hai ki hum kale hain

    hum ne bachte nahin dekha kabhi mara apna

    ghair se rakhiye na imdad ki ummid 'agha'

    kaam aata hai meri jaan bharosa apna

    Source:

    Deewan-e-Aagha (Pg. ebook-4 page-6)

      • Publisher: Matba Ejaz Mohammadi, Agra
      • Year of Publication: 1886
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now