Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha

Kamal Jafari

sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha

Kamal Jafari

MORE BYKamal Jafari

    sitam-e-garmī-e-sahrā mujhe ma.alūm na thā

    ḳhushk ho jā.egā dariyā mujhe ma.alūm na thā

    maiñ ne samjhā thā ki firdaus-e-barīñ hai duniyā

    ik jahannum hai sarāpā mujhe ma.alūm na thā

    chand dānista haqā.eq talab ḳhātir

    zulm Dhā.egā zamāna mujhe ma.alūm na thā

    lahlahā uThtā chaman merī umīdoñ magar

    zard thā vaqt chehrā mujhe ma.alūm na thā

    dostī pyaar ḳhulūs amn vafā ḳhushbū

    ye haiñ alfāz-e-tamanna mujhe ma.alūm na thā

    bārhā jis ke qarīb aa ke milā mujh ko sukūñ

    merā apnā thā saaya mujhe ma.alūm na thā

    ahd-e-tiflī thā 'kamāl' ahd-e-masarrat-āgīñ

    ġham ke saa.e meñ palūñgā mujhe ma.alūm na thā

    sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha

    KHushk ho jaega dariya mujhe malum na tha

    main ne samjha tha ki firdaus-e-barin hai duniya

    ek jahannum hai sarapa mujhe malum na tha

    chand danista haqaeq ki talab ki KHatir

    zulm Dhaega zamana mujhe malum na tha

    lahlaha uThta chaman meri umidon ka magar

    zard tha waqt ka chehra mujhe malum na tha

    dosti pyar KHulus amn wafa ki KHushbu

    ye hain alfaz-e-tamanna mujhe malum na tha

    barha jis ke qarib aa ke mila mujh ko sukun

    mera apna hi tha saya mujhe malum na tha

    ahd-e-tifli tha 'kamal' ahd-e-masarrat-agin

    gham ke sae mein palunga mujhe malum na tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now