ta-ba maqdur intizar kiya
tā-ba maqdūr intizār kiyā
dil ne ab zor be-qarār kiyā
dushmanī ham se kī zamāne ne
ki jafākār tujh sā yaar kiyā
ye tavahhum kā kārḳhāna hai
yaañ vahī hai jo e'tibār kiyā
ek nāvak ne us kī mizhgāñ ke
tā.er-e-sidra tak shikār kiyā
sad-rag-e-jāñ ko taab de bāham
terī zulfoñ kā ek taar kiyā
ham faqīroñ se be-adā.ī kyā
aan baiThe jo tum ne pyaar kiyā
saḳht kāfir thā jin ne pahle 'mīr'
maz.hab-e-ishq iḳhtiyār kiyā
ta-ba maqdur intizar kiya
dil ne ab zor be-qarar kiya
dushmani hum se ki zamane ne
ki jafakar tujh sa yar kiya
ye tawahhum ka karKHana hai
yan wahi hai jo e'tibar kiya
ek nawak ne us ki mizhgan ke
taer-e-sidra tak shikar kiya
sad-rag-e-jaan ko tab de baham
teri zulfon ka ek tar kiya
hum faqiron se be-adai kya
aan baiThe jo tum ne pyar kiya
saKHt kafir tha jin ne pahle 'mir'
mazhab-e-ishq iKHtiyar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.