tamam shobade uske kamal uske hain
tamām shobade us ke kamāl us ke haiñ
shikārī aur hai zāhir meñ jaal us ke haiñ
vo ek shaḳhs jo ojhal huā hai āñkhoñ se
har ek chehre pe ab ḳhadd-o-ḳhāl us ke haiñ
basar kiyā hai jise ham ne zindagī kī tarah
matā-e-umr ke sab māh-o-sāl us ke haiñ
vo ḳhush-nasīb hai kitnā ki itne barsoñ se
sitāre burj meñ sab hasb-e-hāl us ke haiñ
ab us se baḌh ke bhalā mo'tabar kaheñ kis ko
zamāna us kā hai māzī-o-hāl us ke haiñ
badaltī rut meñ jise maiñ na bhuul paayā 'hasan'
nishān dil pe mire lā-zavāl us ke haiñ
tamam shobade us ke kamal us ke hain
shikari aur hai zahir mein jal us ke hain
wo ek shaKHs jo ojhal hua hai aankhon se
har ek chehre pe ab KHadd-o-KHal us ke hain
basar kiya hai jise hum ne zindagi ki tarah
mata-e-umr ke sab mah-o-sal us ke hain
wo KHush-nasib hai kitna ki itne barson se
sitare burj mein sab hasb-e-haal us ke hain
ab us se baDh ke bhala mo'tabar kahen kis ko
zamana us ka hai mazi-o-haal us ke hain
badalti rut mein jise main na bhul paya 'hasan'
nishan dil pe mere la-zawal us ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.