taskin de sakenge na jam-o-subu mujhe
taskīn de sakeñge na jām-o-subū mujhe
bechain kar rahī hai tirī aarzū mujhe
mujh se talāsh-e-rāh kī dushvāriyāñ na pūchh
bhaTkā rahā hai zauq-e-safar chār-sū mujhe
bazm-e-asar-fareb kī tabdīliyāñ to dekh
maġhmūm aa rahe haiñ nazar ḳhūb-rū mujhe
terī nazar na jaan sakī mere dil kā haal
kyā mutma.in karegī tirī guftugū mujhe
ai 'naqsh' iztirāb-e-dil-o-jāñ ko kyā karūñ
barbād kar rahā hai ġham-e-ārzū mujhe
taskin de sakenge na jam-o-subu mujhe
bechain kar rahi hai teri aarzu mujhe
mujh se talash-e-rah ki dushwariyan na puchh
bhaTka raha hai zauq-e-safar chaar-su mujhe
bazm-e-asar-fareb ki tabdiliyan to dekh
maghmum aa rahe hain nazar KHub-ru mujhe
teri nazar na jaan saki mere dil ka haal
kya mutmain karegi teri guftugu mujhe
ai 'naqsh' iztirab-e-dil-o-jaan ko kya karun
barbaad kar raha hai gham-e-arzu mujhe
- Book : Andaaz (Pg. 105)
- Author : Mahesh Chandr Naqsh
- Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962)
- Edition : 1962
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.