tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun
tere qarÄ«b aa ke baįøÄ« uljhanoƱ meƱ huuƱ
maiƱ dushmanoƱ meƱ huuƱ ki tire dostoƱ meƱ huuƱ
mujh se gurez-pÄ hai to har rÄsta badal
maiƱ saƱg-e-rÄh huuƱ to sabhÄ« rÄstoƱ meƱ huuƱ
tÅ« aa chukÄ hai sat.h pe kab se įø³habar nahīƱ
bedard maiƱ abhÄ« unhīƱ gahrÄ.iyoƱ meƱ huuƱ
ai yÄr-e-įø³hush-dayÄr tujhe kyÄ įø³habar ki maiƱ
kab se udÄsiyoƱ ke ghane jaƱgaloƱ meƱ huuƱ
tÅ« luuT kar bhÄ« ahl-e-tamannÄ ko įø³hush nahīƱ
yaaƱ luT ke bhÄ« vafÄ ke inhÄ« qÄfiloƱ meƱ huuƱ
badlÄ na mere baad bhÄ« mauzÅ«-e-guftugÅ«
maiƱ jÄ chukÄ huuƱ phir bhÄ« tirÄ« mahfiloƱ meƱ huuƱ
mujh se bichhaįø ke tÅ« bhÄ« to ro.egÄ umr bhar
ye soch le ki maiƱ bhÄ« tirÄ« įø³hvÄhishoƱ meƱ huuƱ
tÅ« haƱs rahÄ hai mujh pe mirÄ haal dekh kar
aur phir bhī maiƱ sharīk tire qahqahoƱ meƱ huuƱ
įø³hud hÄ« misÄl-e-lÄla-e-sahrÄ lahÅ« lahÅ«
aur įø³hud 'farÄz' apne tamÄshÄ.iyoƱ meƱ huuƱ
tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun
main dushmanon mein hun ki tere doston mein hun
mujh se gurez-pa hai to har rasta badal
main sang-e-rah hun to sabhi raston mein hun
tu aa chuka hai sath pe kab se KHabar nahin
bedard main abhi unhin gahraiyon mein hun
ai yar-e-KHush-dayar tujhe kya KHabar ki main
kab se udasiyon ke ghane jangalon mein hun
tu luT kar bhi ahl-e-tamanna ko KHush nahin
yan luT ke bhi wafa ke inhi qafilon mein hun
badla na mere baad bhi mauzu-e-guftugu
main ja chuka hun phir bhi teri mahfilon mein hun
mujh se bichhaD ke tu bhi to roega umr bhar
ye soch le ki main bhi teri KHwahishon mein hun
tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar
aur phir bhi main sharik tere qahqahon mein hun
KHud hi misal-e-lala-e-sahra lahu lahu
aur KHud 'faraaz' apne tamashaiyon mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.