Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun

Manzar Bhopali

tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun

Manzar Bhopali

tum ho mahfil meñ to merī chashm-e-tar dekhegā kaun

chāñd ke aage bhalā dāġh-e-jigar dekhegā kaun

yaad ke sūkhe gulāboñ se sajā hai dil baaġh

zaḳhm ye guzre dinoñ ke ab magar dekhegā kaun

aap hai adālat aap munsif bhī haiñ

ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegā kaun

maiñ apnā mohtasib ban jā.ūñ varna dosto

gumrah-e-manzil huuñ huuñ raah par dekhegā kaun

bijliyāñ bhar paañv meñ aage zamāne se nikal

ban gayā jo ġhubār-e-rah-guzar dekhegā kaun

ek din mazlūm ban jā.eñge zulmoñ javāb

apnī barbādī mātam umr bhar dekhegā kaun

'manzar' apne ḳhuun se is shāḳh ko sarsabz kar

gar zabāñ miT jā.egī terā hunar dekhegā kaun

tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun

chand ke aage bhala dagh-e-jigar dekhega kaun

yaad ke sukhe gulabon se saja hai dil ka bagh

zaKHm ye guzre dinon ke ab magar dekhega kaun

aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain

ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun

main hi apna mohtasib ban jaun warna dosto

gumrah-e-manzil hun ya hun rah par dekhega kaun

bijliyan bhar panw mein aage zamane se nikal

ban gaya jo tu ghubar-e-rah-guzar dekhega kaun

ek din mazlum ban jaenge zulmon ka jawab

apni barbaadi ka matam umr bhar dekhega kaun

'manzar' apne KHun se is shaKH ko sarsabz kar

gar zaban miT jaegi tera hunar dekhega kaun

Source :
  • Book : Zindagi (Pg. 137)
  • Author : Manzar Bhopali
  • Publication : Nasir Publicans, Urdu Bazar Krachi (P.K.) (1993)
  • Edition : 1993
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now