Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte

Farhat Ehsas

tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    tumheñ us se mohabbat hai to himmat kyuuñ nahīñ karte

    kisī din us ke dar pe raqs-e-vahshat kyuuñ nahīñ karte

    ilaaj apnā karāte phir rahe ho jaane kis kis se

    mohabbat kar ke dekho mohabbat kyuuñ nahīñ karte

    tumhāre dil pe apnā naam likkhā ham ne dekhā hai

    hamārī chiiz phir ham ko ināyat kyuuñ nahīñ karte

    mirī dil tabāhī shikāyat par kahā us ne

    tum apne ghar chīzoñ hifāzat kyuuñ nahīñ karte

    badan baiThā hai kab se kāsa-e-ummīd sūrat

    so de kar vasl ḳhairāt ruḳhsat kyuuñ nahīñ karte

    qayāmat dekhne ke shauq meñ ham mar miTe tum par

    qayāmat karne vaalo ab qayāmat kyuuñ nahīñ karte

    maiñ apne saath jazboñ jamā.at le ke aayā huuñ

    jab itne muqtadī haiñ to imāmat kyuuñ nahīñ karte

    tum apne hoñTh ā.īne meñ dekho aur phir socho

    ki ham sirf ek bose par qanā.at kyuuñ nahīñ karte

    bahut nārāz hai vo aur use ham se shikāyat hai

    ki is nārāzgī bhī shikāyat kyuuñ nahīñ karte

    kabhī allāh-miyāñ pūchheñge tab un ko batā.eñge

    kisī ko kyuuñ batā.eñ ham ibādat kyuuñ nahīñ karte

    murattab kar liyā hai kulliyāt-e-zaḳhm agar apnā

    to phir 'ehsās-jī' is ishā.at kyuuñ nahīñ karte

    tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte

    kisi din us ke dar pe raqs-e-wahshat kyun nahin karte

    ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se

    mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte

    tumhaare dil pe apna nam likkha hum ne dekha hai

    hamari chiz phir hum ko inayat kyun nahin karte

    meri dil ki tabahi ki shikayat par kaha us ne

    tum apne ghar ki chizon ki hifazat kyun nahin karte

    badan baiTha hai kab se kasa-e-ummid ki surat

    so de kar wasl ki KHairaat ruKHsat kyun nahin karte

    qayamat dekhne ke shauq mein hum mar miTe tum par

    qayamat karne walo ab qayamat kyun nahin karte

    main apne sath jazbon ki jamaat le ke aaya hun

    jab itne muqtadi hain to imamat kyun nahin karte

    tum apne honTh aaine mein dekho aur phir socho

    ki hum sirf ek bose par qanaat kyun nahin karte

    bahut naraaz hai wo aur use hum se shikayat hai

    ki is naraazgi ki bhi shikayat kyun nahin karte

    kabhi allah-miyan puchhenge tab un ko bataenge

    kisi ko kyun bataen hum ibaadat kyun nahin karte

    murattab kar liya hai kulliyat-e-zaKHm agar apna

    to phir 'ehsas-ji' is ki ishaat kyun nahin karte

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farhat Ehsas

    Farhat Ehsas

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now