tu bad-mizaj tha tu ne bhi iltija nahin ki
tū bad-mizāj thā tū ne bhī iltijā nahīñ kī
aur ab faqīr se takrār hai du'ā nahīñ kī
maiñ ḳhāndān kī pābandiyoñ se vāqif thī
ḳhudā kā shukr hai us shaḳhs ne vafā nahīñ kī
aziyyateñ hī sahī dil kī choT bhī hai 'azīz
purānā zaḳhm rafū kar liyā davā nahīñ kī
hazār baar ujāḌā hai zindagī ne mujhe
burā zarūr manāyā hai bad-du'ā nahīñ kī
vo ‘ishq-o-rizq meñ fāqoñ pe aane vaale haiñ
ḳhudā ke naam se jis jis ne ibtidā nahīñ kī
tire ġhurūr se baḌh kar mirī anā hai mujhe
tū pūchhtā hai mohabbat kā mujh se jā nahīñ kī
tu bad-mizaj tha tu ne bhi iltija nahin ki
aur ab faqir se takrar hai du'a nahin ki
main KHandan ki pabandiyon se waqif thi
KHuda ka shukr hai us shaKHs ne wafa nahin ki
aziyyaten hi sahi dil ki choT bhi hai 'aziz
purana zaKHm rafu kar liya dawa nahin ki
hazar bar ujaDa hai zindagi ne mujhe
bura zarur manaya hai bad-du'a nahin ki
wo ‘ishq-o-rizq mein faqon pe aane wale hain
KHuda ke nam se jis jis ne ibtida nahin ki
tere ghurur se baDh kar meri ana hai mujhe
tu puchhta hai mohabbat ka mujh se ja nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.