Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi

Liyaqat Ali Aasim

tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi

Liyaqat Ali Aasim

na thā terī tamannā dekhne chiiz thī

dil na maanā varna duniyā dekhne chiiz thī

kyā ḳhabar mere junūñ ko shahr kyuuñ raas aa gayā

aise aalam meñ to sahrā dekhne chiiz thī

tum ko ai āñkho kahāñ rakhtā maiñ kunj-e-ḳhvāb meñ

husn thā aur husn tanhā dekhne chiiz thī

lams lau meñ pighaltā hujra-e-zāt-o-sifāt

tum bhī hote to añdherā dekhne chiiz thī

aa gayā mere makāñ tak aur aa kar rah gayā

bārishoñ ke ba.ad dariyā dekhne chiiz thī

dhuup kahtī rahī maiñ dhuup huuñ maiñ dhuup huuñ

apne saa.e par bharosā dekhne chiiz thī

shaam ke saa.e meñ jaise peḌ saayā mile

mere miTne tamāshā dekhne chiiz thī

tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi

dil na mana warna duniya dekhne ki chiz thi

kya KHabar mere junun ko shahr kyun ras aa gaya

aise aalam mein to sahra dekhne ki chiz thi

tum ko ai aankho kahan rakhta main kunj-e-KHwab mein

husn tha aur husn tanha dekhne ki chiz thi

lams ki lau mein pighalta hujra-e-zat-o-sifat

tum bhi hote to andhera dekhne ki chiz thi

aa gaya mere makan tak aur aa kar rah gaya

barishon ke baad dariya dekhne ki chiz thi

dhup kahti hi rahi main dhup hun main dhup hun

apne sae par bharosa dekhne ki chiz thi

sham ke sae mein jaise peD ka saya mile

mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi

Source :
  • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 617)
  • Author : Naseer Ahmed Nasir
  • Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
  • Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now