umr guzar jati hai qisse rah jate hain
umr guzar jaatī hai qisse rah jaate haiñ
pichhlī rut ke bichhḌe sāthī yaad aate haiñ
logoñ ne batlāyā hai ham ab aksar
bāteñ karte karte kahīñ kho jaate haiñ
koī aise vaqt meñ ham se bichhḌā hai
shaam Dhale jab panchhī ghar lauT aate haiñ
apnī hī āvāz sunā.ī detī hai
varna to sannāTe hī sannāTe haiñ
dil kā ek Thikānā hai par apnā kyā
shaam jahāñ hotī hai vahīñ paḌ jaate haiñ
kuchh din hasb-e-manshā bhī jī lene de
dekh tirī ThuDDī meñ haath lagāte haiñ
umr guzar jati hai qisse rah jate hain
pichhli rut ke bichhDe sathi yaad aate hain
logon ne batlaya hai hum ab aksar
baaten karte karte kahin kho jate hain
koi aise waqt mein hum se bichhDa hai
sham Dhale jab panchhi ghar lauT aate hain
apni hi aawaz sunai deti hai
warna to sannaTe hi sannaTe hain
dil ka ek Thikana hai par apna kya
sham jahan hoti hai wahin paD jate hain
kuchh din hasb-e-mansha bhi ji lene de
dekh teri ThuDDi mein hath lagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.