Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj

Anwar Sabri

unki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj

Anwar Sabri

un mahfil meñ hamesha se yahī dekhā rivāj

aañkh se bīmār karte haiñ tabassum se ilaaj

maiñ jo royā un āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e

husn fitrat meñ shāmil hai mohabbat mizāj

merī ḳhātir ḳhud uThāte haiñ vo taklīf-e-karam

kaun rakhtā varna mujh jaise gunahgāroñ laaj

mere hone aur na hone par kyā mauqūf hai

maut par un hukūmat zindagī par un raaj

uf vo aariz jis ke jalvoñ par fidā mehr-e-mubīñ

aah vo lab jin ko dete haiñ mah o anjum ḳhirāj

maiñ huuñ 'anvar' un zāt-e-pāk adnā ġhulām

hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdāñ taaj

un ki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj

aankh se bimar karte hain tabassum se ilaj

main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae

husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj

meri KHatir KHud uThate hain wo taklif-e-karam

kaun rakhta warna mujh jaise gunahgaron ki laj

mere hone aur na hone par hi kya mauquf hai

maut par un ki hukumat zindagi par un ka raj

uf wo aariz jis ke jalwon par fida mehr-e-mubin

aah wo lab jin ko dete hain mah o anjum KHiraj

main hun 'anwar' un ki zat-e-pak ka adna ghulam

hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdan ka taj

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now