usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye
usī ek fard ke vāste mire dil meñ dard hai kis liye
mirī zindagī kā mutāliba vahī ek fard hai kis liye
tū jo shahr meñ hī muqīm hai to musāfirat kī fazā hai kyuuñ
tirā kārvāñ jo nahīñ gayā to havā meñ gard hai kis liye
na jamāl-o-husn kī bazm hai na junūn o ishq kā azm hai
sar-e-dasht raqs meñ har ghaḌī koī bādgard hai kis liye
tire husn se ye patā chalā tujhe dekh kar ye ḳhabar huī
jahāñ rāsta hī nahīñ koī vahāñ rah-navard hai kis liye
jo likhā hai mere nasīb meñ kahīñ tū ne paḌh to nahīñ liyā
tirā haath sard hai kis liye tirā rañg zard hai kis liye
vo jo tark-e-rabt kā ahd thā kahīñ TūTne to nahīñ lagā
tire dil ke dard ko dekh kar mire dil meñ dard hai kis liye
koī vāsta jo nahīñ rahā tirī aañkh meñ ye namī hai kyuuñ
mire ġham kī aag ko dekh kar tirī aah sard hai kis liye
usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye
meri zindagi ka mutaliba wahi ek fard hai kis liye
tu jo shahr mein hi muqim hai to musafirat ki faza hai kyun
tera karwan jo nahin gaya to hawa mein gard hai kis liye
na jamal-o-husn ki bazm hai na junun o ishq ka azm hai
sar-e-dasht raqs mein har ghaDi koi baadgard hai kis liye
tere husn se ye pata chala tujhe dekh kar ye KHabar hui
jahan rasta hi nahin koi wahan rah-naward hai kis liye
jo likha hai mere nasib mein kahin tu ne paDh to nahin liya
tera hath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye
wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga
tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye
koi wasta jo nahin raha teri aankh mein ye nami hai kyun
mere gham ki aag ko dekh kar teri aah sard hai kis liye
- Book : Dastavez (Pg. 77)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.