Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha

Yusuf Hasan

usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha

Yusuf Hasan

usī harīf ġhārat-garī Dar bhī thā

ye dil dard magar zād-e-rahguzar bhī thā

ye jism-o-jān tirī atā sahī lekin

tire jahān meñ jiinā mirā hunar bhī thā

isī pe shahr saarī havā.eñ barham thiiñ

ki ik diyā mire ghar muñDer par bhī thā

mujhe kahīñ na rakkhā safed-poshī ne

maiñ gard gard uThā thā to mo'tabar bhī thā

isī khañDar meñ mire ḳhvāb galī bhī thī

galī meñ peḌ bhī thā peḌ par samar bhī thā

maiñ surḳh-rū thā ḳhudā.ī ke rū-ba-rū 'yūsuf'

ki us chaah ilzām mere sar bhī thā

usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha

ye dil ka dard magar zad-e-rahguzar bhi tha

ye jism-o-jaan teri hi ata sahi lekin

tere jahan mein jina mera hunar bhi tha

isi pe shahr ki sari hawaen barham thin

ki ek diya mere ghar ki munDer par bhi tha

mujhe kahin ka na rakkha safed-poshi ne

main gard gard uTha tha to mo'tabar bhi tha

isi khanDar mein mere KHwab ki gali bhi thi

gali mein peD bhi tha peD par samar bhi tha

main surKH-ru tha KHudai ke ru-ba-ru 'yusuf'

ki us ki chah ka ilzam mere sar bhi tha

Source :
  • Book : Pakistani Adab (Pg. 722)
  • Author : Dr. Rashid Amjad
  • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now