Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka

Natiq Gulavthi

wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    vasf-e-jamāl-e-zauq hai ahl-e-nigāh

    hairat kahūñ ki shor kahūñ vaah vaah

    ahl-e-junūñ pe zulm hai pābandī-e-rusūm

    jaada hamāre vāste kāñTā hai raah

    rakhtā hai talḳh-kām ġham-e-lazzat-e-jahāñ

    kyā kījiye ki lutf nahīñ kuchh gunāh

    kyā kuchh janāb-e-shaiḳh niyyat se thā ba.iid

    mauqa.a bhī duḳht-e-raz ne diyā ho gunāh

    ai barq kab se ik nazar-e-garm ke liye

    ātash-bajāñ hai dasht meñ tinkā giyāh

    hañgāma-e-hayāt se lenā to kuchh nahīñ

    haañ dekhte chalo ki tamāshā hai raah

    maiñ hāsil-e-nazar huuñ tamannā-e-dīd meñ

    letā huuñ kaam har bun-e-mū se nigāh

    'nātiq' gila-pasand hai ġham-jafā-pasand

    ai dād-ḳhvāh kaam hai be-dād-ḳhvāh

    wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka

    hairat kahun ki shor kahun wah wah ka

    ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum

    jada hamare waste kanTa hai rah ka

    rakhta hai talKH-kaam gham-e-lazzat-e-jahan

    kya kijiye ki lutf nahin kuchh gunah ka

    kya kuchh janab-e-shaiKH ki niyyat se tha baid

    mauqa bhi duKHt-e-raz ne diya ho gunah ka

    ai barq kab se ek nazar-e-garm ke liye

    aatash-bajaan hai dasht mein tinka giyah ka

    hangama-e-hayat se lena to kuchh nahin

    han dekhte chalo ki tamasha hai rah ka

    main hasil-e-nazar hun tamanna-e-did mein

    leta hun kaam har bun-e-mu se nigah ka

    'natiq' gila-pasand hai tu gham-jafa-pasand

    ai dad-KHwah kaam hai be-dad-KHwah ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now