wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya
vo jo mere paas se ho kar kisī ke ghar gayā
reshmī malbūs kī ḳhushbū se jaadū kar gayā
ik jhalak dekhī thī us rū-e-dil-ārā kī kabhī
phir na āñkhoñ se vo aisā dilrubā manzar gayā
shahr kī galiyoñ meñ gahrī tīrgī giryāñ rahī
raat bādal is tarah aa.e ki maiñ to Dar gayā
thī vatan meñ muntazir jis kī koī chashm-e-hasīñ
vo musāfir jaane kis sahrā meñ jal kar mar gayā
sub.h-e-kāzib kī havā meñ dard thā kitnā 'munīr'
rail kī siiTī bajī to dil lahū se bhar gayā
wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya
reshmi malbus ki KHushbu se jadu kar gaya
ek jhalak dekhi thi us ru-e-dil-ara ki kabhi
phir na aankhon se wo aisa dilruba manzar gaya
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gaya
thi watan mein muntazir jis ki koi chashm-e-hasin
wo musafir jaane kis sahra mein jal kar mar gaya
subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir'
rail ki siTi baji to dil lahu se bhar gaya
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 99)
- Author : muniir niyaazii
- Publication : mavra books,60-the mall,lahore (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.