wo log mere bahut pyar karne wale the
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar ga.e haiƱ jo mausam guzarne vaale the
na.ī rutoƱ meƱ dukhoƱ ke bhī silsile haiƱ na.e
vo zaḳhm taaza hue haiñ jo bharne vaale the
ye kis maqÄm pe sÅ«jhÄ« tujhe bichhaįøne kÄ«
ki ab to jÄ ke kahīƱ din saƱvarne vaale the
hazÄr mujh se vo paimÄn-e-vasl kartÄ rahÄ
par us ke taur-tarīqe mukarne vaale the
tumheƱ to faįø³hr thÄ shÄ«rÄza-bandÄ«-e-jÄƱ par
hamÄrÄ kyÄ hai ki ham to bikharne vaale the
tamÄm raat nahÄyÄ thÄ shahr bÄrish meƱ
vo raƱg utar hī ga.e jo utarne vaale the
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahrī nahīƱ
vahÄƱ bhÄ« chand musÄfir utarne vaale the
wo log mere bahut pyar karne wale the
guzar gae hain jo mausam guzarne wale the
nai ruton mein dukhon ke bhi silsile hain nae
wo zaKHm taza hue hain jo bharne wale the
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhaDne ki
ki ab to ja ke kahin din sanwarne wale the
hazar mujh se wo paiman-e-wasl karta raha
par us ke taur-tariqe mukarne wale the
tumhein to faKHr tha shiraaza-bandi-e-jaan par
hamara kya hai ki hum to bikharne wale the
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahri nahin
wahan bhi chand musafir utarne wale the
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 68)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.