aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

Hijr Nazim Ali Khan

wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

Hijr Nazim Ali Khan

MORE BYHijr Nazim Ali Khan

    vo shoḳh baam pe jab be-naqāb aa.egā

    to māhtāb-e-falak ko hijāb aa.egā

    ḳhabar na thī ki miTeñge javān hote

    ajal bhes badal kar shabāb aa.egā

    paḌegā aks jo saaqī chashm-e-maigūñ

    nazar sharāb meñ jām-e-sharāb aa.egā

    hazār haif ki sar nāma-bar aayā hai

    samajh rahe the ki ḳhat javāb aa.egā

    kalīm haañ dil-e-betāb ko sambhāle hue

    sunā hai tuur pe vo be-naqāb aa.egā

    jo aarzū hai hamārī vo kah to deñ lekin

    ḳhayāl ye hai ki tum ko hijāb aa.egā

    ye shoḳhiyāñ tirī is kam-sinī meñ ai zālim

    qayāmat aa.egī jis din shabāb aa.egā

    kabhī ye fikr ki vo yaad kyuuñ kareñge hameñ

    kabhī ḳhayāl ki ḳhat javāb aa.egā

    chalā hai 'hijr' siyahkār bazm-e-jānāñ ko

    zalīl ho ke ye ḳhāna-ḳharāb aa.egā

    wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

    to mahtab-e-falak ko hijab aaega

    KHabar na thi ki miTenge jawan hote hi

    ajal ka bhes badal kar shabab aaega

    paDega aks jo saqi ki chashm-e-maigun ka

    nazar sharab mein jam-e-sharab aaega

    hazar haif ki sar nama-bar ka aaya hai

    samajh rahe the ki KHat ka jawab aaega

    kalim han dil-e-betab ko sambhaale hue

    suna hai tur pe wo be-naqab aaega

    jo aarzu hai hamari wo kah to den lekin

    KHayal ye hai ki tum ko hijab aaega

    ye shoKHiyan teri is kam-sini mein ai zalim

    qayamat aaegi jis din shabab aaega

    kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein

    kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega

    chala hai 'hijr' siyahkar bazm-e-jaanan ko

    zalil ho ke ye KHana-KHarab aaega

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now