Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad ashkon mein baha di humne

Ghulam Mohammad Qasir

yaad ashkon mein baha di humne

Ghulam Mohammad Qasir

yaad ashkoñ meñ bahā ham ne

aa ki har baat bhulā ham ne

gulshan-e-dil se guzarne ke liye

ġham ko raftār-e-sabā ham ne

ab usī aag meñ jalte haiñ jise

apne dāman se havā ham ne

din añdheroñ talab meñ guzrā

raat ko sham.a jalā ham ne

rah-guzar bajtī hai paa.el tarah

kis aahaT ko sadā ham ne

qasr-e-ma.ānī ke makīñ the phir bhī

tai na lafz vaadī ham ne

ġham tashrīh bahut mushkil thī

apnī tasvīr dikhā ham ne

yaad ashkon mein baha di hum ne

aa ki har baat bhula di hum ne

gulshan-e-dil se guzarne ke liye

gham ko raftar-e-saba di hum ne

ab usi aag mein jalte hain jise

apne daman se hawa di hum ne

din andheron ki talab mein guzra

raat ko shama jala di hum ne

rah-guzar bajti hai pael ki tarah

kis ki aahaT ko sada di hum ne

qasr-e-maani ke makin the phir bhi

tai na ki lafz ki wadi hum ne

gham ki tashrih bahut mushkil thi

apni taswir dikha di hum ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now