Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye gham phir se ubharta ja raha hai

Amit Sharma Meet

ye gham phir se ubharta ja raha hai

Amit Sharma Meet

ye ġham phir se ubhartā rahā hai

mujhe hairān kartā rahā hai

sunā me.ayār girtā rahā hai

magar banda nikhartā rahā hai

mujhe ye kyā huā hai kuchh dinoñ se

tirā ehsās martā rahā hai

amaañ is ḳhvāb ko bhī kyā kaheñ ab

bikharnā thā bikhartā rahā hai

tirā ḳhāmoshiyoñ ko vaqt denā

sadāoñ ko akhartā rahā hai

hamīñ ne use rasta diyā thā

hamīñ pe paañv dhartā rahā hai

purānī dekh kar tasvīr terī

nayā har din guzartā rahā hai

maiñ jitnī aur piitā rahā huuñ

nasha utnā utartā rahā hai

sunā hai 'mīt' ḳhvāboñ se nikal kar

vo āñkhoñ meñ Thahartā rahā hai

ye gham phir se ubharta ja raha hai

mujhe hairan karta ja raha hai

suna meayar girta ja raha hai

magar banda nikharta ja raha hai

mujhe ye kya hua hai kuchh dinon se

tera ehsas marta ja raha hai

aman is KHwab ko bhi kya kahen ab

bikharna tha bikharta ja raha hai

tera KHamoshiyon ko waqt dena

sadaon ko akharta ja raha hai

hamin ne hi use rasta diya tha

hamin pe panw dharta ja raha hai

purani dekh kar taswir teri

naya har din guzarta ja raha hai

main jitni aur pita ja raha hun

nasha utna utarta ja raha hai

suna hai 'mit' KHwabon se nikal kar

wo aankhon mein Thaharta ja raha hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now