ye jang haar na jae sipah qaid mein hai
ye jang haar na jaa.e sipāh qaid meñ hai
ġhulām taḳht pe qābiz haiñ shaah qaid meñ hai
parinde is liye zindāñ ke gird ghūmte haiñ
ki un kī Daar kā ik be-gunāh qaid meñ hai
tire huqūq kī koī nahīñ zamānat ab
ġharīb-e-shahr tirā ḳhair-ḳhvāh qaid meñ hai
suḳhan kī ham ko ijāzat na hukm dekhne kā
qalam asīr-e-salāsil nigāh qaid meñ hai
savāl kaun uThā.egā munsifoñ pe huzūr
barī hue sabhī mujrim gavāh qaid meñ hai
ye ‘arsh-o-farsh ko ik din hilā.egī 'komal'
darūn-e-dil jo mirī sard aah qaid meñ hai
ye jang haar na jae sipah qaid mein hai
ghulam taKHt pe qabiz hain shah qaid mein hai
parinde is liye zindan ke gird ghumte hain
ki un ki Dar ka ek be-gunah qaid mein hai
tere huquq ki koi nahin zamanat ab
gharib-e-shahr tera KHair-KHwah qaid mein hai
suKHan ki hum ko ijazat na hukm dekhne ka
qalam asir-e-salasil nigah qaid mein hai
sawal kaun uThaega munsifon pe huzur
bari hue sabhi mujrim gawah qaid mein hai
ye ‘arsh-o-farsh ko ek din hilaegi 'komal'
darun-e-dil jo meri sard aah qaid mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.