ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
ye kār-e-zindagī thā to karnā paḌā mujhe
ḳhud ko sameTne meñ bikharnā paḌā mujhe
phir ḳhvāhishoñ ko koī sarā.e na mil sakī
ik aur raat ḳhud meñ Thaharnā paḌā mujhe
mahfūz ḳhāmushī kī panāhoñ meñ thā magar
gūñjī ik aisī chīḳh ki Darnā paḌā mujhe
is baar rāh-e-ishq kuchh itnī tavīl thī
us ke badan se ho ke guzarnā paḌā mujhe
puurī amiir imaam kī tasvīr jab huī
us meñ lahū kā rañg bhī bharnā paḌā mujhe
ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
KHud ko sameTne mein bikharna paDa mujhe
phir KHwahishon ko koi sarae na mil saki
ek aur raat KHud mein Thaharna paDa mujhe
mahfuz KHamushi ki panahon mein tha magar
gunji ek aisi chiKH ki Darna paDa mujhe
is bar rah-e-ishq kuchh itni tawil thi
us ke badan se ho ke guzarna paDa mujhe
puri amir imam ki taswir jab hui
us mein lahu ka rang bhi bharna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.