ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain
ye mere paas jo chup-chāp aa.e baiThe haiñ
hazār fitna-e-mahshar uThā.e baiThe haiñ
adū se bazm-e-adū meñ laḌā rahe ho nigāh
nahīñ ḳhayāl ki apne parā.e baiThe haiñ
kahīñ na un kī nazar se nazar kisī kī laḌe
vo is lihāz se āñkheñ jhukā.e baiThe haiñ
koī hasīñ nazar aayā ye be-qarār hue
janāb-e-'nūh' ko ham āzmā.e baiThe haiñ
ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain
hazar fitna-e-mahshar uThae baiThe hain
adu se bazm-e-adu mein laDa rahe ho nigah
nahin KHayal ki apne parae baiThe hain
kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe
wo is lihaz se aankhen jhukae baiThe hain
koi hasin nazar aaya ye be-qarar hue
janab-e-'nuh' ko hum aazmae baiThe hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 143)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.