Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai

Manmohan Talkh

ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    ye shahr shahr sar-e-ām ab munādī hai

    na vo rahegā mulāqāt jo aadī hai

    zamīn hai khulī dhuup havā hai

    ba-nām-e-zindagi kaisī kaḌī sazā hai

    maiñ apne aap se kyā pūchhtā huuñ rah rah kar

    ye kyuuñ lage ki kisī ne mujhe sadā hai

    tirā ruup koī thā yahāñ jab aayā thā

    ye dekh vaqt ne ab shakl kyā banā hai

    duā salām to thī rasm-e-rab se thī murād

    so mere shahr ne ye rasm uThā hai

    faqat sadā suno kyuuñ nazar na aa.egī

    ki ab to biich dīvār bhī girā hai

    tamām umr na us ko kisī ne pahchānā

    jo us ke muñh pe thī chādar vo kyuuñ haTā hai

    ye ab gharoñ meñ na paanī na dhuup hai na jagah

    zamīñ ne 'talḳh' ye shahroñ ko bad-duā hai

    ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai

    na wo rahega mulaqat ka jo aadi hai

    zamin di hai khuli dhup di hawa di hai

    ba-nam-e-zindagi kaisi kaDi saza di hai

    main apne aap se kya puchhta hun rah rah kar

    ye kyun lage ki kisi ne mujhe sada di hai

    tera hi rup koi tha yahan jab aaya tha

    ye dekh waqt ne ab shakl kya bana di hai

    dua salam to thi rasm-e-rab se thi murad

    so mere shahr ne ye rasm hi uTha di hai

    faqat sada hi suno kyun nazar na aaegi

    ki ab to bich ki diwar bhi gira di hai

    tamam umr na us ko kisi ne pahchana

    jo us ke munh pe thi chadar wo kyun haTa di hai

    ye ab gharon mein na pani na dhup hai na jagah

    zamin ne 'talKH' ye shahron ko bad-dua di hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now