Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main

KHalid Malik Sahil

yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main

KHalid Malik Sahil

yuuñ dil o jaan tauqīr meñ masrūf thā maiñ

jaise ajdād jāgīr meñ masrūf thā maiñ

tīsha-e-vaqt ne buniyād hilā varna

har ghaḌī zaat tāmīr meñ masrūf thā maiñ

ḳhvāb dekhā thā mohabbat mohabbat qasam

phir isī ḳhvāb tābīr meñ masrūf thā maiñ

lafz rañgoñ meñ nahā.e hue ghar meñ aa.e

terī āvāz tasvīr meñ masrūf thā maiñ

ek ik pal mirī palkoñ meñ simaT aayā hai

ahd-e-gum-gashta tahrīr meñ masrūf thā maiñ

ab tire vāste ābād karūñgā duniyā

ek arsa tirī taqdīr meñ masrūf thā maiñ

yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main

jaise ajdad ki jagir mein masruf tha main

tisha-e-waqt ne buniyaad hila di warna

har ghaDi zat ki tamir mein masruf tha main

KHwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam

phir isi KHwab ki tabir mein masruf tha main

lafz rangon mein nahae hue ghar mein aae

teri aawaz ki taswir mein masruf tha main

ek ek pal meri palkon mein simaT aaya hai

ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf tha main

ab tere waste aabaad karunga duniya

ek arsa teri taqdir mein masruf tha main

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now