yun nahin wo nazar nahin aata
yuuñ nahīñ vo nazar nahīñ aatā
ham ko dīdār kar nahīñ aatā
vaqt achchhā zarūr aatā hai
par kabhī vaqt par nahīñ aatā
sirf ronā hī mujh ko aatā hai
aur koī hunar nahīñ aatā
jo bhī jaatā hai us ke kūche meñ
phir vo bār-e-digar nahīñ aatā
us kā jalva bhī ik tamāsha hai
nazar aatā hai par nahīñ aatā
us ne jaate hue kahā 'sāhir'!
vaqt phir lauT kar nahīñ aatā
yun nahin wo nazar nahin aata
hum ko didar kar nahin aata
waqt achchha zarur aata hai
par kabhi waqt par nahin aata
sirf rona hi mujh ko aata hai
aur koi hunar nahin aata
jo bhi jata hai us ke kuche mein
phir wo bar-e-digar nahin aata
us ka jalwa bhi ek tamasha hai
nazar aata hai par nahin aata
us ne jate hue kaha 'sahir'!
waqt phir lauT kar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.