Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

Javed Shaheen

zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    zaḳhm khāne se koī dhoka khāne se huā

    baat kyā thī maiñ ḳhafā jis par zamāne se huā

    ek pal meñ ik jagah se itnā raushan āsmāñ

    koī taara bante bante TuuT jaane se huā

    sochtā rahtā huuñ maiñ aksar ki āġhāz-e-jahāñ

    din banāne se ki pahle shab banāne se huā

    maiñ ġhalat tum ġhalat the chhoḌo ab is baat ko

    honā thā jo kuchh vo jaise ik bahāne se huā

    kuchh zamāne ravish ne saḳht mujh ko kar diyā

    aur kuchh bedard maiñ us ko bhulāne se huā

    baat saarī asl meñ ye thī maiñ us se bad-gumāñ

    ik ta.alluq meñ kahīñ pe shak ke aane se huā

    bach niklā huuñ maiñ jaaḌe baḌī yalġhār se

    garm ab ke ghar badan ḳhas jalāne se huā

    kyā kahūñ merī giraftārī koī ehtimām

    kaise zer-e-dām rakkhe ek daane se huā

    umr bhar ye jo hai 'shāhīñ' ḳhasāra ye mujhe

    ek saude meñ koī nekī kamāne se huā

    zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

    baat kya thi main KHafa jis par zamane se hua

    ek pal mein ek jagah se itna raushan aasman

    koi tara bante bante TuT jaane se hua

    sochta rahta hun main aksar ki aaghaz-e-jahan

    din banane se ki pahle shab banane se hua

    main ghalat ya tum ghalat the chhoDo ab is baat ko

    hona tha jo kuchh wo jaise ek bahane se hua

    kuchh zamane ki rawish ne saKHt mujh ko kar diya

    aur kuchh bedard main us ko bhulane se hua

    baat sari asl mein ye thi main us se bad-guman

    ek talluq mein kahin pe shak ke aane se hua

    bach hi nikla hun main jaDe ki baDi yalghaar se

    garm ab ke ghar badan ka KHas jalane se hua

    kya kahun meri giraftari ka koi ehtimam

    kaise zer-e-dam rakkhe ek dane se hua

    umr bhar ka ye jo hai 'shahin' KHasara ye mujhe

    ek saude mein koi neki kamane se hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now