Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi

Bilal Ahmad

zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi

Bilal Ahmad

zamīñ na.ī thī 'anāsir ḳhū badaltī thī

havā se pahle jazīre pe dhuup chaltī thī

nigah bahalne lagī thī hasīñ manāzir se

bas ek rañj hālat nahīñ bahaltī thī

us ik charāġh se chehre diid mushkil thī

nazar lau kabhī girtī kabhī sañbhaltī thī

hamāre dasht ko vahshat nahīñ milī thī abhī

so us ke dil meñ koī aabjū machaltī thī

saḌak surma.ī dil bichh rahā thā pairoñ meñ

vo gul-nazhād kahīñ sair ko nikaltī thī

hamārī ḳhaak tabarruk samajh ke le jaao

hamārī jaan mohabbat lau meñ jaltī thī

zamin nai thi 'anasir ki KHu badalti thi

hawa se pahle jazire pe dhup chalti thi

nigah bahalne lagi thi hasin manazir se

bas ek ranj ki haalat nahin bahalti thi

us ek charagh se chehre ki did mushkil thi

nazar ki lau kabhi girti kabhi sanbhalti thi

hamare dasht ko wahshat nahin mili thi abhi

so us ke dil mein koi aabju machalti thi

saDak ka surmai dil bichh raha tha pairon mein

wo gul-nazhad kahin sair ko nikalti thi

hamari KHak tabarruk samajh ke le jao

hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now