karwan guzar gaya
svapn jhaḌe phuul se
miit chubhe shuul se
luT ga.e siñgār sabhī baaġh ke babūl se
aur ham khaḌe khaḌe bahār dekhte rahe
kārvāñ guzar gayā ġhubār dekhte rahe
niiñd bhī khulī na thī ki haa.e dhuup Dhal ga.ī
paañv jab talak uThe ki zindagī phisal ga.ī
paat paat jhaḌ ga.e ki shāḳh shāḳh jal ga.ī
chaah to nikal sakī, na par umar nikal ga.ī
giit ashk ban ga.e
chhand ho dafn ga.e
saath ke sabhī diye dhuāñ dhuāñ pahan ga.e
aur ham jhuke jhuke
moḌ par ruke ruke
umr ke chaḌhāv kā utaar dekhte rahe
kārvāñ guzar gayā ġhubār dekhte rahe
kyā shabāb thā ki phuul phuul pyaar kar uThā
kyā sarūp thā ki dekh aa.ina sihar uThā
is taraf zamīn uThī to āsmān udhar uThā
thaam kar jigar uThā ki jo milā nazar uThā
ek din magar yahāñ
aisī kuchh havā chalī
luT ga.ī kalī kalī ki ghuT ga.ī galī galī
aur ham luTe luTe
vaqt se piTe piTe
saañs kī sharāb kā ḳhumār dekhte rahe
kārvāñ guzar gayā ġhubār dekhte rahe
haath the mile ki zulf chāñd kī sañvār duuñ
hoñTh the khule ki har bahār ko pukār duuñ
dard thā diyā gayā ki har dukhī ko pyaar duuñ
aur saañs yuuñ ki sovarg bhūmī par utaar duuñ
ho sakā na kuchh magar
shaam ban ga.ī sahar
vo uThī lahar ki dah ga.e qil.e bikhar bikhar
aur ham Dare Dare
niir nain meñ bhare
oḌh kar kafan paḌe mazār dekhte rahe
kārvāñ guzar gayā ġhubār dekhte rahe
maañg bhar chalī ki ek jab na.ī na.ī kiran
Dholakeñ dhamak uThīñ Thumak uThe charan charan
shor mach gayā ki lo chalī dulhan chalī dulhan
gaañv sab umaD paḌā bahak uThe nayan nayan
par tabhī zahar bharī
gaaj ek vo girī
puñchh gayā sindūr taar taar huī chunarī
aur ham anjān se
duur ke makān se
pālkī liye hue kahār dekhte rahe
kārvāñ guzar gayā ġhubār dekhte rahe
swapn jhaDe phul se
mit chubhe shul se
luT gae singar sabhi bagh ke babul se
aur hum khaDe khaDe bahaar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
nind bhi khuli na thi ki hae dhup Dhal gai
panw jab talak uThe ki zindagi phisal gai
pat pat jhaD gae ki shaKH shaKH jal gai
chah to nikal saki, na par umar nikal gai
git ashk ban gae
chhand ho dafn gae
sath ke sabhi diye dhuan dhuan pahan gae
aur hum jhuke jhuke
moD par ruke ruke
umr ke chaDhaw ka utar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
kya shabab tha ki phul phul pyar kar uTha
kya sarup tha ki dekh aaina sihar uTha
is taraf zamin uThi to aasman udhar uTha
tham kar jigar uTha ki jo mila nazar uTha
ek din magar yahan
aisi kuchh hawa chali
luT gai kali kali ki ghuT gai gali gali
aur hum luTe luTe
waqt se piTe piTe
sans ki sharab ka KHumar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
hath the mile ki zulf chand ki sanwar dun
honTh the khule ki har bahaar ko pukar dun
dard tha diya gaya ki har dukhi ko pyar dun
aur sans yun ki sowarg bhumi par utar dun
ho saka na kuchh magar
sham ban gai sahar
wo uThi lahar ki dah gae qile bikhar bikhar
aur hum Dare Dare
nir nain mein bhare
oDh kar kafan paDe mazar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
mang bhar chali ki ek jab nai nai kiran
Dholaken dhamak uThin Thumak uThe charan charan
shor mach gaya ki lo chali dulhan chali dulhan
ganw sab umaD paDa bahak uThe nayan nayan
par tabhi zahar bhari
gaj ek wo giri
punchh gaya sindur tar tar hui chunari
aur hum anjaan se
dur ke makan se
palki liye hue kahaar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.