aa gai yaad sham Dhalte hi
aa ga.ī yaad shaam Dhalte hī
bujh gayā dil charāġh jalte hī
khul ga.e shahr-e-ġham ke darvāze
ik zarā sī havā ke chalte hī
kaun thā tū ki phir na dekhā tujhe
miT gayā ḳhvāb aañkh malte hī
ḳhauf aatā hai apne hī ghar se
māh-e-shab-tāb ke nikalte hī
tū bhī jaise badal sā jaatā hai
aks-e-dīvār ke badalte hī
ḳhuun sā lag gayā hai hāthoñ meñ
chaḌh gayā zahr gul masalte hī
aa gai yaad sham Dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi
khul gae shahr-e-gham ke darwaze
ek zara si hawa ke chalte hi
kaun tha tu ki phir na dekha tujhe
miT gaya KHwab aankh malte hi
KHauf aata hai apne hi ghar se
mah-e-shab-tab ke nikalte hi
tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
KHun sa lag gaya hai hathon mein
chaDh gaya zahr gul masalte hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.