aa ke ab jangal mein ye uqda khula
aa ke ab jañgal meñ ye uqda khulā
bheḌiye paḌhte nahīñ haiñ falsafa
rīchhnī ko shā.erī se kyā ġharaz
tañg hai tahzīb hī kā qāfiya
khaal chiknī ho to dhande haiñ hazār
gīdaḌī ne kab koī dohā sunā
gorḳhar kī dhāriyoñ ko dekh lo
suiT chaupā.e bhī lete haiñ silā
lomḌī kī dum ghanī kitnī bhī ho
satar-poshī ko nahīñ kahte hayā
shahr meñ un ke jo guzrā thā 'salīm'
likh diyā hai maiñ ne saarā mājrā
aa ke ab jangal mein ye uqda khula
bheDiye paDhte nahin hain falsafa
richhni ko shaeri se kya gharaz
tang hai tahzib hi ka qafiya
khaal chikni ho to dhande hain hazar
gidaDi ne kab koi doha suna
gorKHar ki dhaariyon ko dekh lo
suiT chaupae bhi lete hain sila
lomDi ki dum ghani kitni bhi ho
satar-poshi ko nahin kahte haya
shahr mein un ke jo guzra tha 'salim'
likh diya hai main ne sara majra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.