Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire

Shakeb Jalali

aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    aa ke patthar to mire sahn meñ do chaar gire

    jitne us peḌ ke phal the pas-e-dīvār gire

    aisī dahshat thī fazāoñ meñ khule paanī

    aañkh jhapkī bhī nahīñ haath se patvār gire

    mujhe girnā hai to maiñ apne qadmoñ meñ girūñ

    jis tarah sāya-e-dīvār pe dīvār gire

    tīrgī chhoḌ ga.e dil meñ ujāle ke ḳhutūt

    ye sitāre mire ghar TuuT ke bekār gire

    kyā havā haath meñ talvār liye phirtī thī

    kyuuñ mujhe Dhaal banāne ko ye chhitnār gire

    dekh kar apne dar-o-bām laraz jaatā huuñ

    mire ham-sā.e meñ jab bhī koī dīvār gire

    vaqt Dor ḳhudā jaane kahāñ se TuuTe

    kis ghaḌī sar pe ye laTkī huī talvār gire

    ham se Takrā ga.ī ḳhud baḌh ke añdhere chaTān

    ham sambhal kar jo bahut chalte the nā-chār gire

    kyā kahūñ dīda-e-tar ye to mirā chehra hai

    sañg kaT jaate haiñ bārish jahāñ dhaar gire

    haath aayā nahīñ kuchh raat daldal ke sivā

    haa.e kis moḌ pe ḳhvāboñ ke parastār gire

    vo tajallī shuā.eñ thiiñ ki jalte hue par

    aa.ine TuuT ga.e ā.ina-bardār gire

    dekhte kyuuñ ho 'shakeb' itnī bulandī taraf

    na uThāyā karo sar ko ki ye dastār gire

    aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire

    jitne us peD ke phal the pas-e-diwar gire

    aisi dahshat thi fazaon mein khule pani ki

    aankh jhapki bhi nahin hath se patwar gire

    mujhe girna hai to main apne hi qadmon mein girun

    jis tarah saya-e-diwar pe diwar gire

    tirgi chhoD gae dil mein ujale ke KHutut

    ye sitare mere ghar TuT ke bekar gire

    kya hawa hath mein talwar liye phirti thi

    kyun mujhe Dhaal banane ko ye chhitnar gire

    dekh kar apne dar-o-baam laraz jata hun

    mere ham-sae mein jab bhi koi diwar gire

    waqt ki Dor KHuda jaane kahan se TuTe

    kis ghaDi sar pe ye laTki hui talwar gire

    hum se Takra gai KHud baDh ke andhere ki chaTan

    hum sambhal kar jo bahut chalte the na-chaar gire

    kya kahun dida-e-tar ye to mera chehra hai

    sang kaT jate hain barish ki jahan dhaar gire

    hath aaya nahin kuchh raat ki daldal ke siwa

    hae kis moD pe KHwabon ke parastar gire

    wo tajalli ki shuaen thin ki jalte hue par

    aaine TuT gae aaina-bardar gire

    dekhte kyun ho 'shakeb' itni bulandi ki taraf

    na uThaya karo sar ko ki ye dastar gire

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Nomaan Shauque

    aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire Nomaan Shauque

    Javed Naseem

    aa ke patthar to mire sehn me.n do-chaar gire -shakeb jalali Javed Naseem

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now