Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho

Saqi Faruqi

aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho

Saqi Faruqi

aag ho dil meñ to āñkhoñ meñ dhanak paidā ho

ruuh meñ raushnī lahje meñ chamak paidā ho

ek shola merī āvāz meñ lahrātā hai

ḳhuun meñ lahr ḳhayāloñ meñ lalak paidā ho

qatl karne irāda hai magar sochtā huuñ

agar aa.e to hāthoñ meñ jhijak paidā ho

is tarah apnī sachchā.ī par isrār na kar

ye na ho aur tirī baat meñ shak paidā ho

mujh se bahte hue aañsū nahīñ likkhe jaate

kaash ik din mere lafzoñ meñ lachak paidā ho

aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho

ruh mein raushni lahje mein chamak paida ho

ek shola meri aawaz mein lahraata hai

KHun mein lahr KHayalon mein lalak paida ho

qatl karne ka irada hai magar sochta hun

tu agar aae to hathon mein jhijak paida ho

is tarah apni hi sachchai par israr na kar

ye na ho aur teri baat mein shak paida ho

mujh se bahte hue aansu nahin likkhe jate

kash ek din mere lafzon mein lachak paida ho

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now