Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aagahi mein ek KHala maujud hai

Abdul Hamid Adam

aagahi mein ek KHala maujud hai

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    āgahī meñ ik ḳhalā maujūd hai

    is matlab hai ḳhudā maujūd hai

    hai yaqīnan kuchh magar vāzeh nahīñ

    aap āñkhoñ meñ kyā maujūd hai

    bāñkpan meñ aur koī shai nahīñ

    sādgī intihā maujūd hai

    hai mukammal bādshāhī dalīl

    ghar meñ gar ik boriyā maujūd hai

    shauqiya koī nahīñ hotā ġhalat

    is meñ kuchh terī razā maujūd hai

    is liye tanhā huuñ maiñ garm-e-safar

    qāfile meñ rahnumā maujūd hai

    har mohabbat binā hai chāshnī

    har lagan meñ mudda.ā maujūd hai

    har jagah har shahr har iqlīm meñ

    dhuum hai us jo nā-maujūd hai

    jis se chhupnā chāhtā huuñ maiñ 'adam'

    vo sitamgar jā-ba-jā maujūd hai

    aagahi mein ek KHala maujud hai

    is ka matlab hai KHuda maujud hai

    hai yaqinan kuchh magar wazeh nahin

    aap ki aankhon mein kya maujud hai

    bankpan mein aur koi shai nahin

    sadgi ki intiha maujud hai

    hai mukammal baadshahi ki dalil

    ghar mein gar ek boriya maujud hai

    shauqiya koi nahin hota ghalat

    is mein kuchh teri raza maujud hai

    is liye tanha hun main garm-e-safar

    qafile mein rahnuma maujud hai

    har mohabbat ki bina hai chashni

    har lagan mein muddaa maujud hai

    har jagah har shahr har iqlim mein

    dhum hai us ki jo na-maujud hai

    jis se chhupna chahta hun main 'adam'

    wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aagahi mein ek KHala maujud hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now