Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage aage shar phailata jata hun

Ghulam Murtaza Rahi

aage aage shar phailata jata hun

Ghulam Murtaza Rahi

aage aage shar phailātā jaatā huuñ

pīchhe pīchhe apnī ḳhair manātā huuñ

patthar sūrat be-his ho jaatā huuñ

kaisī kaisī choTeñ sahtā rahtā huuñ

āḳhir ab tak kyuuñ na tumheñ aayā maiñ nazar

jaane kahāñ kahāñ to dekhā jaatā huuñ

sāñsoñ ke aane jaane se lagtā hai

ik pal jiitā huuñ to ik pal martā huuñ

dariyā baalū moram Dho kar laatā hai

maiñ us sab maal uḌā le aatā huuñ

ab to maiñ hāthoñ meñ patthar le kar bhī

ā.īne sāmnā karte Dartā huuñ

aage aage shar phailata jata hun

pichhe pichhe apni KHair manata hun

patthar ki surat be-his ho jata hun

kaisi kaisi choTen sahta rahta hun

aaKHir ab tak kyun na tumhein aaya main nazar

jaane kahan kahan to dekha jata hun

sanson ke aane jaane se lagta hai

ek pal jita hun to ek pal marta hun

dariya baalu moram Dho kar lata hai

main us ka sab mal uDa le aata hun

ab to main hathon mein patthar le kar bhi

aaine ka samna karte Darta hun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now