aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye
aah bhī ik koshish-e-nākām hai mere liye
aisī sahbā-e-kuhan aur ḳhaam hai mere liye
zindagī ik shorish-e-ālām hai mere liye
jo nafas hai gardish-e-ayyām hai mere liye
shā'irī hī vaj.h-e-nañg-o-nām hai mere liye
aur jo kuchh hai vo sab ilzām hai mere liye
merī arz-e-shauq be-mā'nī hai un ke vāste
un kī ḳhāmoshī bhī ik paiġhām hai mere liye
ye merī āshufta-hālī ye merī āvārgī
jaise saarī gardish-e-ayyām hai mere liye
kis qadar mā'sūm kaisī garm kitnī dil-navāz
vo nigāh-e-nāz jo bad-nām hai mere liye
aaj kyā hone ko hai ai gardish-e-haft-āsmāñ
har sitāra larza-bar-andām hai mere liye
aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye
aisi sahba-e-kuhan aur KHam hai mere liye
zindagi ek shorish-e-alam hai mere liye
jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye
sha'iri hi wajh-e-nang-o-nam hai mere liye
aur jo kuchh hai wo sab ilzam hai mere liye
meri arz-e-shauq be-ma'ni hai un ke waste
un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye
ye meri aashufta-haali ye meri aawargi
jaise sari gardish-e-ayyam hai mere liye
kis qadar ma'sum kaisi garm kitni dil-nawaz
wo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye
aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman
har sitara larza-bar-andam hai mere liye
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.