Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

Ahmad Nadeem Qasmi

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    andāz hū-ba-hū tirī āvāz-e-pā thā

    dekhā nikal ke ghar se to jhoñkā havā thā

    is husn-e-ittifāq pe luT kar bhī shaad huuñ

    terī razā jo thī vo taqāzā vafā thā

    dil raakh ho chukā to chamak aur baḌh ga.ī

    ye terī yaad thī ki amal kīmiyā thā

    is rishta-e-latīf ke asrār kyā khuleñ

    sāmne thā aur tasavvur ḳhudā thā

    chhup chhup ke ro.uuñ aur sar-e-anjuman hañsūñ

    mujh ko ye mashvara mire dard-āshnā thā

    uTThā ajab tazād se insān ḳhamīr

    aadī fanā thā to pujārī baqā thā

    TuuTā to kitne ā.ina-ḳhānoñ pe zad paḌī

    aTkā huā gale meñ jo patthar sadā thā

    hairān huuñ ki vaar se kaise bachā 'nadīm'

    vo shaḳhs to ġharīb o ġhayūr intihā thā

    andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

    dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

    is husn-e-ittifaq pe luT kar bhi shad hun

    teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha

    dil rakh ho chuka to chamak aur baDh gai

    ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha

    is rishta-e-latif ke asrar kya khulen

    tu samne tha aur tasawwur KHuda ka tha

    chhup chhup ke roun aur sar-e-anjuman hansun

    mujh ko ye mashwara mere dard-ashna ka tha

    uTTha ajab tazad se insan ka KHamir

    aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha

    TuTa to kitne aaina-KHanon pe zad paDi

    aTka hua gale mein jo patthar sada ka tha

    hairan hun ki war se kaise bacha 'nadim'

    wo shaKHs to gharib o ghayur intiha ka tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor,

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Nomaan Shauque

    andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha Nomaan Shauque

    Nayyara Noor

    andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha Nayyara Noor

    Fahad Husain

    andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now