aaina ab juda nahin karta
aa.ina ab judā nahīñ kartā
qaid meñ huuñ rihā nahīñ kartā
mustaqil sabr meñ hai koh-e-girāñ
naqsh-e-ibrat sadā nahīñ kartā
rañg-e-mahfil badaltā rahtā hai
rañg koī vafā nahīñ kartā
aish-e-duniyā kī justujū mat kar
ye dafīna milā nahīñ kartā
jī meñ aa.e jo kar guzartā hai
tū kisī kā kahā nahīñ kartā
ek vāris hamesha hotā hai
taḳht ḳhālī rahā nahīñ kartā
ahd-e-insāf aa rahā hai 'munīr'
zulm daa.em huā nahīñ kartā
aaina ab juda nahin karta
qaid mein hun riha nahin karta
mustaqil sabr mein hai koh-e-giran
naqsh-e-ibrat sada nahin karta
rang-e-mahfil badalta rahta hai
rang koi wafa nahin karta
aish-e-duniya ki justuju mat kar
ye dafina mila nahin karta
ji mein aae jo kar guzarta hai
tu kisi ka kaha nahin karta
ek waris hamesha hota hai
taKHt KHali raha nahin karta
ahd-e-insaf aa raha hai 'munir'
zulm daem hua nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.