Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

Hanson Rehani

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

Hanson Rehani

MORE BYHanson Rehani

    aaj saudā-e-mohabbat ye arzānī hai

    kaam be-kār javānoñ ġhazal-ḳhvānī hai

    ġham takmīl sāmān huā hai paidā

    lā.iq-e-faḳhr mirī be-sar-o-sāmānī hai

    sañg o aahan to bane ā.īne un ḳhātir

    dil na ā.īna banā saḳht ye hairānī hai

    mujh se is darja ḳhafā kyuuñ ho koī parda-nashīñ

    aarzū diid jab fitrat-e-insānī hai

    faisla dil mohabbat meñ hai rahbar apnā

    fikr kyā manzil-e-jānāñ agar anjānī hai

    vo kareñ na kareñ apnī jafā se tauba

    mere dil ko magar ehsās-e-peshemānī hai

    aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

    kaam be-kar jawanon ka ghazal-KHwani hai

    gham ki takmil ka saman hua hai paida

    laiq-e-faKHr meri be-sar-o-samani hai

    sang o aahan to bane aaine un ki KHatir

    dil na aaina bana saKHt ye hairani hai

    mujh se is darja KHafa kyun ho koi parda-nashin

    aarzu did ki jab fitrat-e-insani hai

    faisla dil ka mohabbat mein hai rahbar apna

    fikr kya manzil-e-jaanan agar anjaani hai

    wo karen ya na karen apni jafa se tauba

    mere dil ko magar ehsas-e-peshemani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now