Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha

Ada Jafarey

aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha

Ada Jafarey

aalam aur thā jo shanāsā.iyoñ meñ thā

jo diip thā nigāh parchhā.iyoñ meñ thā

vo be-panāh ḳhauf jo tanhā.iyoñ meñ thā

dil tamām anjuman-ārā.iyoñ meñ thā

ik lamha-e-fusūñ ne jalāyā thā jo diyā

phir umr bhar ḳhayāl ra.anā.iyoñ meñ thā

ik ḳhvāb-gūñ dhuup thī zaḳhmoñ aañch meñ

ik sā.ebāñ dard purvā.iyoñ meñ thā

dil ko bhī ik jarāhat-e-dil ne atā kiyā

ye hausla ki apne tamāshā.iyoñ meñ thā

kaTtā kahāñ tavīl thā rātoñ silsila

sūraj mirī nigāh sachchā.iyoñ meñ thā

apnī galī meñ kyuuñ na kisī ko vo mil sakā

jo e'timād bādiya-paimā.iyoñ meñ thā

is ahd-e-ḳhud-sipās pūchho ho mājrā

masrūf aap apnī pazīrā.iyoñ meñ thā

us ke huzūr shukr bhī āsāñ nahīñ 'adā'

vo jo qarīb-e-jāñ mirī tanhā.iyoñ meñ thā

aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha

jo dip tha nigah ki parchhaiyon mein tha

wo be-panah KHauf jo tanhaiyon mein tha

dil ki tamam anjuman-araiyon mein tha

ek lamha-e-fusun ne jalaya tha jo diya

phir umr bhar KHayal ki ranaiyon mein tha

ek KHwab-gun si dhup thi zaKHmon ki aanch mein

ek saeban sa dard ki purwaiyon mein tha

dil ko bhi ek jarahat-e-dil ne ata kiya

ye hausla ki apne tamashaiyon mein tha

kaTta kahan tawil tha raaton ka silsila

suraj meri nigah ki sachchaiyon mein tha

apni gali mein kyun na kisi ko wo mil saka

jo e'timad baadiya-paimaiyon mein tha

is ahd-e-KHud-sipas ka puchho ho majra

masruf aap apni paziraiyon mein tha

us ke huzur shukr bhi aasan nahin 'ada'

wo jo qarib-e-jaan meri tanhaiyon mein tha

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

Azra Naqvi

aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha Azra Naqvi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now