Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashna hote hi us ishq ne mara mujhko

Asad Ali Khan Qalaq

aashna hote hi us ishq ne mara mujhko

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    āshnā hote us ishq ne maarā mujh ko

    na milā bahr-e-mohabbat kinārā mujh ko

    kyuuñ mire qatl ko talvār barahna hai

    teġh-e-abrū to kaafī hai ishārā mujh ko

    ḳhud tire daam meñ aayā koī afsūñ na chalā

    ai parī ne to shīshe meñ utārā mujh ko

    mere iisā zarā dekhnā e.ajāz-e-ḳhirām

    ek Thokar se milī umr dobārā mujh ko

    maan.e daulat-e-dīdār na ho ai girya

    ruḳh-e-mahbūb karne de nazārā mujh ko

    dil meñ ik gauhar-e-ḳhūbī mohabbat hai josh

    āj-kal bhātā hai dariyā kinārā mujh ko

    Dam-dilāse meñ Taalā kiye har roz āḳhir

    sūkhe ghaaT ai gul-e-tar ḳhuub utārā mujh ko

    naqd-e-jāñ nazr karūñ tere phir ai qātil-e-ḳhalq

    zinda kar de agar allāh dobārā mujh ko

    phalv-e-yār ko ġhairoñ se jo ḳhālī paayā

    dil-e-betāb ne kyā kyā na ubhārā mujh ko

    maiñ yahāñ muntazir-e-va.ada rahā lekin vo

    rah ga.e aur kahīñ de ke sahārā mujh ko

    āḳhir insān huuñ patthar to rakhtā nahīñ dil

    ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko

    apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī

    dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko

    phande meñ phañs ke maiñ us ke na huā phir jāñ-bar

    tār-e-gesū ne tire maar utārā mujh ko

    un ko sūjhā na zarā past-o-buland ulfat

    ġhair se chiḌh ga.e nazroñ se utārā mujh ko

    sadma-sohbat-e-aġhyār na uThegā kabhī

    aur jo zulm karo sab haiñ gavārā mujh ko

    shaad us se hoñ ki is qātil-e-ālam ne ḳhud aaj

    kah ke o āshiq-e-nāshād pukārā mujh ko

    jaañ ishq meñ us huur ke maiñ ne jo 'qalaq'

    qabr meñ aa ke farishtoñ ne utārā mujh ko

    aashna hote hi us ishq ne mara mujh ko

    na mila bahr-e-mohabbat ka kinara mujh ko

    kyun mere qatl ko talwar barahna ki hai

    tegh-e-abru ka to kafi hai ishaara mujh ko

    KHud tere dam mein aaya koi afsun na chala

    ai pari tu ne to shishe mein utara mujh ko

    mere isa ka zara dekhna eajaz-e-KHiram

    ek Thokar se mili umr dobara mujh ko

    mane daulat-e-didar na ho ai girya

    ruKH-e-mahbub ka karne de nazara mujh ko

    dil mein ek gauhar-e-KHubi ki mohabbat ka hai josh

    aaj-kal bhata hai dariya ka kinara mujh ko

    Dam-dilase hi mein Tala kiye har roz aaKHir

    sukhe ghaT ai gul-e-tar KHub utara mujh ko

    naqd-e-jaan nazr karun tere phir ai qatil-e-KHalq

    zinda kar de agar allah dobara mujh ko

    phalw-e-yar ko ghairon se jo KHali paya

    dil-e-betab ne kya kya na ubhaara mujh ko

    main yahan muntazir-e-wada raha lekin wo

    rah gae aur kahin de ke sahaara mujh ko

    aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil

    ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko

    apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi

    dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko

    phande mein phans ke main us ke na hua phir jaan-bar

    tar-e-gesu ne tere mar utara mujh ko

    un ko sujha na zara past-o-buland ulfat

    ghair se chiDh gae nazron se utara mujh ko

    sadma-sohbat-e-aghyar na uThega kabhi

    aur jo zulm karo sab hain gawara mujh ko

    shad us se hon ki is qatil-e-alam ne KHud aaj

    kah ke o aashiq-e-nashad pukara mujh ko

    jaan di ishq mein us hur ke main ne jo 'qalaq'

    qabr mein aa ke farishton ne utara mujh ko

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aashna hote hi us ishq ne mara mujhko Nomaan Shauque

    Source :
    • Mazhar-e-Ishq

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now