ab bhala chhoD ke ghar kya karte
ab bhalā chhoḌ ke ghar kyā karte
shaam ke vaqt safar kyā karte
terī masrūfiyateñ jānte haiñ
apne aane kī ḳhabar kyā karte
jab sitāre hī nahīñ mil paa.e
le ke ham shams-o-qamar kyā karte
vo musāfir hī khulī dhuup kā thā
saa.e phailā ke shajar kyā karte
ḳhaak hī avval o āḳhir Thahrī
kar ke zarre ko guhar kyā karte
raa.e pahle se banā lī tū ne
dil meñ ab ham tire ghar kyā karte
ishq ne saare salīqe baḳhshe
husn se kasb-e-hunar kyā karte
ab bhala chhoD ke ghar kya karte
sham ke waqt safar kya karte
teri masrufiyaten jaante hain
apne aane ki KHabar kya karte
jab sitare hi nahin mil pae
le ke hum shams-o-qamar kya karte
wo musafir hi khuli dhup ka tha
sae phaila ke shajar kya karte
KHak hi awwal o aaKHir Thahri
kar ke zarre ko guhar kya karte
rae pahle se bana li tu ne
dil mein ab hum tere ghar kya karte
ishq ne sare saliqe baKHshe
husn se kasb-e-hunar kya karte
- Book : Mah-e-tamam (Pg. 24)
- Author : Parveen Shakir
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.