ab bhi hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya
ab jī hudūd-e-sūd-o-ziyāñ se guzar gayā
achchhā vahī rahā jo javānī meñ mar gayā
palkoñ pe aa ke ruk sī ga.ī thī har ek mauj
kal ro liye to aañkh se dariyā utar gayā
tujh se to dil ke paas mulāqāt ho ga.ī
maiñ ḳhud ko DhūñDne ke liye dar-ba-dar gayā
shām-e-vatan kuchh apne shahīdoñ kā zikr kar
jin ke lahū se sub.h kā chehra nikhar gayā
āḳhir bahār ko to jo karnā thā kar ga.ī
ilzām-e-ehtiyāt girebāñ ke sar gayā
zanjīr mātamī hai tum ai āqilān-e-shahr
ab kis ko pūchhte ho divāna to mar gayā
ab ji hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya
achchha wahi raha jo jawani mein mar gaya
palkon pe aa ke ruk si gai thi har ek mauj
kal ro liye to aankh se dariya utar gaya
tujh se to dil ke pas mulaqat ho gai
main KHud ko DhunDne ke liye dar-ba-dar gaya
sham-e-watan kuchh apne shahidon ka zikr kar
jin ke lahu se subh ka chehra nikhar gaya
aaKHir bahaar ko to jo karna tha kar gai
ilzam-e-ehtiyat gireban ke sar gaya
zanjir matami hai tum ai aaqilan-e-shahr
ab kis ko puchhte ho diwana to mar gaya
- Book : girebaa.n (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.