Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

Ahmad Faraz

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    abhī kuchh aur karishme ġhazal ke dekhte haiñ

    'farāz' ab zarā lahja badal ke dekhte haiñ

    judā.iyāñ to muqaddar haiñ phir bhī jān-e-safar

    kuchh aur duur zarā saath chal ke dekhte haiñ

    rah-e-vafā meñ harīf-e-ḳhirām koī to ho

    so apne aap se aage nikal ke dekhte haiñ

    sāmne hai to phir kyuuñ yaqīñ nahīñ aatā

    ye baar baar jo āñkhoñ ko mal ke dekhte haiñ

    ye kaun log haiñ maujūd terī mahfil meñ

    jo lālachoñ se tujhe mujh ko jal ke dekhte haiñ

    ye qurb kyā hai ki yak-jāñ hue na duur rahe

    hazār ek qālib meñ Dhal ke dekhte haiñ

    na tujh ko maat huī hai na mujh ko maat huī

    so ab ke donoñ chāleñ badal ke dekhte haiñ

    ye kaun hai sar-e-sāhil ki Dūbne vaale

    samundaroñ tahoñ se uchhal ke dekhte haiñ

    abhī talak to na kundan hue na raakh hue

    ham apnī aag meñ har roz jal ke dekhte haiñ

    bahut dinoñ se nahīñ hai kuchh us ḳhair-ḳhabar

    chalo 'farāz' ko ai yaar chal ke dekhte haiñ

    abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

    'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain

    judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar

    kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain

    rah-e-wafa mein harif-e-KHiram koi to ho

    so apne aap se aage nikal ke dekhte hain

    tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata

    ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

    ye kaun log hain maujud teri mahfil mein

    jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

    ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe

    hazar ek hi qalib mein Dhal ke dekhte hain

    na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui

    so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain

    ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne wale

    samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain

    abhi talak to na kundan hue na rakh hue

    hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain

    bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair-KHabar

    chalo 'faraaz' ko ai yar chal ke dekhte hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ahmad Faraz

    Ahmad Faraz

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now