Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

Mohsin Asrar

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

Mohsin Asrar

achchhā hai vo bīmār jo achchhā nahīñ hotā

jab tajribe hote haiñ to dhokā nahīñ hotā

jis lafz ko maiñ toḌ ke ḳhud TuuT gayā huuñ

kahtā bhī to vo us ko gavārā nahīñ hotā

terī tarah aatā hai āñkhoñ meñ tirā ḳhvāb

sachchā nahīñ hotā kabhī jhūTā nahīñ hotā

takzīb-e-junūñ ke liye ik shak bahut hai

bārish samay ho to sitārā nahīñ hotā

kyā kyā dar-o-dīvār mirī ḳhaak meñ gum haiñ

par us ko mirā jism gavārā nahīñ hotā

dil nahīñ hotā mire hone ke sabab se

dil ke sabab se mirā honā nahīñ hotā

kis ruḳh se tayaqqun ko tabī.at meñ jagah deñ

aisā nahīñ hotā kabhī vaisā nahīñ hotā

ham log jo karte haiñ vo hotā nahīñ hai

honā jo nazar aatā hai honā nahīñ hotā

jis din ke guzarte yahāñ raat huī hai

ai kaash vo din maiñ ne guzārā nahīñ hotā

jab ham nahīñ hote yahāñ aate haiñ taġhayyur

jab ham yahāñ hote haiñ zamānā nahīñ hotā

ham un meñ haiñ jin koī hastī nahīñ hotī

ham TuuT bhī jaa.eñ to tamāshā nahīñ hotā

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

jab tajribe hote hain to dhoka nahin hota

jis lafz ko main toD ke KHud TuT gaya hun

kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota

teri hi tarah aata hai aankhon mein tera KHwab

sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota

takzib-e-junun ke liye ek shak hi bahut hai

barish ka samay ho to sitara nahin hota

kya kya dar-o-diwar meri KHak mein gum hain

par us ko mera jism gawara nahin hota

ya dil nahin hota mere hone ke sabab se

ya dil ke sabab se mera hona nahin hota

kis ruKH se tayaqqun ko tabiat mein jagah den

aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota

hum log jo karte hain wo hota hi nahin hai

hona jo nazar aata hai hona nahin hota

jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai

ai kash wo din main ne guzara nahin hota

jab hum nahin hote yahan aate hain taghayyur

jab hum yahan hote hain zamana nahin hota

hum un mein hain jin ki koi hasti nahin hoti

hum TuT bhi jaen to tamasha nahin hota

Source :
  • Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 114)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now