achchha sa koi sapna dekho aur mujhe dekho
achchhā sā koī sapnā dekho aur mujhe dekho
jaago to ā.īna dekho aur mujhe dekho
socho ye ḳhāmosh musāfir kyuuñ afsurda hai
jab bhī tum darvāza dekho aur mujhe dekho
sub.h ke ThanDe farsh pe gūñjā us kā ek suḳhan
kirnoñ kā guldasta dekho aur mujhe dekho
baazū haiñ yā do patvāreñ naav pe rakkhī haiñ
lahreñ letā dariyā dekho aur mujhe dekho
do hī chīzeñ is dhartī meñ dekhne vaalī haiñ
miTTī kī sundartā dekho aur mujhe dekho
achchha sa koi sapna dekho aur mujhe dekho
jago to aaina dekho aur mujhe dekho
socho ye KHamosh musafir kyun afsurda hai
jab bhi tum darwaza dekho aur mujhe dekho
subh ke ThanDe farsh pe gunja us ka ek suKHan
kirnon ka guldasta dekho aur mujhe dekho
bazu hain ya do patwaren naw pe rakkhi hain
lahren leta dariya dekho aur mujhe dekho
do hi chizen is dharti mein dekhne wali hain
miTTi ki sundarta dekho aur mujhe dekho
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 40)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.