agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
Abroo Shah Mubarak
MORE BYAbroo Shah Mubarak
agar añkhiyoñ siiñ añkhiyoñ ko milāoge to kyā hogā
nazar kar lutf kī ham kuuñ jalāo.ge to kyā hogā
tumhāre lab kī surḳhī la.al kī mānind aslī hai
agar tum paan ai pyāre na khāoge to kyā hogā
mohabbat siiñ kahtā huuñ taur bad-nāmī kā behtar nahiñ
agar ḳhandoñ kī sohbat meñ na jāoge to kyā hogā
tumhāre shauq meñ huuñ jāñ-ba-lab ik umr guzrī hai
agar ik dam kuuñ aa kar mukh dikhāoge to kyā hogā
mirā dil mil rahā hai tum suuñ pyāre bātinī milnā
agar ham paas zāhir meñ na aaoge to kyā hogā
jagat ke log saare 'ābrū' kuuñ pyaar karte haiñ
agar tum bhī gale is kuuñ lagāoge to kyā hogā
agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
nazar kar lutf ki hum kun jalaoge to kya hoga
tumhaare lab ki surKHi lal ki manind asli hai
agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga
mohabbat sin kahta hun taur bad-nami ka behtar nahin
agar KHandon ki sohbat mein na jaoge to kya hoga
tumhaare shauq mein hun jaan-ba-lab ek umr guzri hai
agar ek dam kun aa kar mukh dikhaoge to kya hoga
mera dil mil raha hai tum sun pyare baatini milna
agar hum pas zahir mein na aaoge to kya hoga
jagat ke log sare 'abru' kun pyar karte hain
agar tum bhi gale is kun lagaoge to kya hoga
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.