Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati

Boom Merathi

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati

Boom Merathi

agar dushman thoḌī marammat aur ho jaatī

to phir ullū ke paThThe ko nasīhat aur ho jaatī

shab-e-va.ada maiñ un kam-sinī se Dar gayā varna

zarā baat par nāzil musībat aur ho jaatī

yahī achchhā huā ne jo zulfoñ ko muñDā Daalā

nahīñ to tere dīvānoñ hālat aur ho jaatī

agar tum nīm-uryāñ hashr ke maidāñ meñ aa jaate

qayāmat meñ phir ik barpā qayāmat aur ho jaatī

sharāb-e-nāb kartā mazammat phir na bhūle se

jo mai-ḳhāne meñ vaa.iz marammat aur ho jaatī

na un kam-sinī se maiñ sazā paatā adālat se

jo un ke āshnāoñ shahādat aur ho jaatī

lagā kartī hazāroñ āshiqoñ ko be-ḳhatā phāñsī

hasīnoñ agar ghar adālat aur ho jaatī

ḳhatā peshāb dushman huā ghar un ke piTne se

maza jab thā ki saale ko ijābat aur ho jaatī

hameñ chāroñ taraf se gher rakhā hai girānī ne

mere allāh ye duniyā se ġhārat aur ho jaatī

agar bosa diyā hai vasl va.ada bhī kar liije

ināyat to thoḌī ināyat aur ho jaatī

agar dil ko bachātā maiñ na zulfoñ ke aḌañge se

to duniyā bhar se lambī shām-e-furqat aur ho jaatī

duā hai 'būm' yārab ye cotton mills bābat

taraqqī aur hotī zeb-o-zīnat aur ho jaatī

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati

to phir ullu ke paThThe ko nasihat aur ho jati

shab-e-wada main un ki kam-sini se Dar gaya warna

zara si baat par nazil musibat aur ho jati

yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munDa Dala

nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati

agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate

qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati

sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se

jo mai-KHane mein waiz ki marammat aur ho jati

na un ki kam-sini se main saza pata adalat se

jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati

laga karti hazaron aashiqon ko be-KHata phansi

hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati

KHata peshab dushman ka hua ghar un ke piTne se

maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati

hamein chaaron taraf se gher rakha hai girani ne

mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati

agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije

inayat ki to thoDi si inayat aur ho jati

agar dil ko bachata main na zulfon ke aDange se

to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati

dua hai 'bum' ki yarab ye cotton mills ki babat

taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now