agar KHu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota
agar ḳhū-e-tahammul ho to koī ġham nahīñ hotā
gile shikve se rañg-e-zindagī kuchh kam nahīñ hotā
bujhī jaatī haiñ sham.eñ rahguzār-e-zindagānī kī
charāġh-e-ārzū lekin kabhī maddham nahīñ hotā
ḳhudā ke sāmne jo sar yaqīñ ke saath jhuk jaa.e
kisī tāqat ke aage phir kabhī vo ḳham nahīñ hotā
atā kī hai ḳhudā ne ilm kī daulat agar tujh ko
saḳhāvat kar saḳhāvat ye ḳhazāna kam nahīñ hotā
siyāsat juzv-e-īmāñ hai chalo yūñhī sahī lekin
koī murshid mizāj-e-vaqt kā mahram nahīñ hotā
urūj-e-paikar-e-ḳhākī se hai insāniyat larzāñ
fasād o sarkashī se paak ye aalam nahīñ hotā
suno āzādi-e-insāñ kā dhoñsā pīTne vaalo
har ik insāñ vaj.h-e-azmat-e-ādam nahīñ hotā
ba-qadr-e-zarf-o-himmat hai rasā.ī fikr-e-insāñ kī
har ik aamī rumūz-e-mulk kā mahram nahīñ hotā
agar KHu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota
gile shikwe se rang-e-zindagi kuchh kam nahin hota
bujhi jati hain shamen rahguzar-e-zindagani ki
charagh-e-arzu lekin kabhi maddham nahin hota
KHuda ke samne jo sar yaqin ke sath jhuk jae
kisi taqat ke aage phir kabhi wo KHam nahin hota
ata ki hai KHuda ne ilm ki daulat agar tujh ko
saKHawat kar saKHawat ye KHazana kam nahin hota
siyasat juzw-e-iman hai chalo yunhi sahi lekin
koi murshid mizaj-e-waqt ka mahram nahin hota
uruj-e-paikar-e-KHaki se hai insaniyat larzan
fasad o sarkashi se pak ye aalam nahin hota
suno aazadi-e-insan ka dhonsa piTne walo
har ek insan wajh-e-azmat-e-adam nahin hota
ba-qadr-e-zarf-o-himmat hai rasai fikr-e-insan ki
har ek aami rumuz-e-mulk ka mahram nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.